AULIYA KI AMAL
Wali ki asl karaamat ye hai ke wo hamesha nek aur parhezgaar hota hai aur shariat aur sunnat par amal karta hai
Aksar ye dekhne milta hai ke Wali Allāh ka mazaar kahi bhi ho us ke qareeb ek masjid zaroor hoti hai.
ALLĀH ta’ala Islaam ki hifaazat aur isha’at ke liye apne Wali ko bhejta hai.
Aur Wali Allah ALLĀH ta’ala ke hukm se apna watan aur pariwar aur azeezo dosto aur apna kaarobar aur milkiyat ko chhodkar kisi door ke anjaan mulk me jaate hain.Magar ALLĀH ke wali dunya ke kisi bhi ilaake me jaaye hamesha Zohad aur Taqwa ikhtiyaar karte hain aur ALLĀH ki ibaadat aur zikr jaari rakhte hain.Aur wo dusro ko bhi ALLĀH ta’ala ki ibaadat ka aur shariat par amal ka dars dete hain.
No comments:
Post a Comment